yun chaman ki tirgi mein raushni dekhi gai
yuuñ chaman kī tīrgī meñ raushnī dekhī ga.ī
aag apne āshiyāñ ko hī lagī dekhī ga.ī
ham vafā kī raah meñ chalte rahe jalte rahe
jab kahīñ jā kar añdheroñ meñ kamī dekhī ga.ī
ro diye ham bhī kabhī to saiñkaḌoñ tūfāñ uThe
yuuñ hamāre āñsuoñ meñ dilkashī dekhī ga.ī
vo qafas kī qaid meñ bhī kyā sitam kī shaam thī
zindagī-bhar kī ḳhushī jab ajnabī dekhī ga.ī
'ishq meñ barbād rāhoñ kā safar kyā thā 'adīm'
zindagī be-maut lāshoñ meñ dabī dekhī ga.ī
yun chaman ki tirgi mein raushni dekhi gai
aag apne aashiyan ko hi lagi dekhi gai
hum wafa ki rah mein chalte rahe jalte rahe
jab kahin ja kar andheron mein kami dekhi gai
ro diye hum bhi kabhi to sainkaDon tufan uThe
yun hamare aansuon mein dilkashi dekhi gai
wo qafas ki qaid mein bhi kya sitam ki sham thi
zindagi-bhar ki KHushi jab ajnabi dekhi gai
'ishq mein barbaad rahon ka safar kya tha 'adim'
zindagi be-maut lashon mein dabi dekhi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.