yun chubh raha hai aankh mein manzar zara zara
yuuñ chubh rahā hai aañkh meñ manzar zarā zarā
tinkā ho jaise zaḳhm ke andar zarā zarā
miTte haiñ bebasī ke ravādār is tarah
ghiste haiñ jaise bhurbhure patthar zarā zarā
jiine ke vāste yahī ehsās hai bahut
ham bhī haiñ dūsroñ ke barābar zarā zarā
jī meñ hai aaj aañkh kī hasrat nikāl luuñ
kab tak ye āsmān se Takkar zarā zarā
paayā qadam qadam pe darindoñ ko ḳhema-zan
Daalī nazar jo shahr ke andar zarā zarā
bastī meñ baiTh jaatī hai Tīloñ ke ruup meñ
aatī hai ret dard kī uḌ kar zarā zarā
'ābid' ye qurb lamhoñ kā sadiyoñ kī dūriyāñ
kab tak magar ye lazzat-e-mahshar zarā zarā
yun chubh raha hai aankh mein manzar zara zara
tinka ho jaise zaKHm ke andar zara zara
miTte hain bebasi ke rawadar is tarah
ghiste hain jaise bhurbhure patthar zara zara
jine ke waste yahi ehsas hai bahut
hum bhi hain dusron ke barabar zara zara
ji mein hai aaj aankh ki hasrat nikal lun
kab tak ye aasman se Takkar zara zara
paya qadam qadam pe darindon ko KHema-zan
Dali nazar jo shahr ke andar zara zara
basti mein baiTh jati hai Tilon ke rup mein
aati hai ret dard ki uD kar zara zara
'abid' ye qurb lamhon ka sadiyon ki duriyan
kab tak magar ye lazzat-e-mahshar zara zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.