yun dabe panw yaad aati hai
yuuñ dabe paañv yaad aatī hai
le ke dil kā qarār jaatī hai
maiñ ne pardes jā ke dekh liyā
terī ḳhushbū vahāñ bhī aatī hai
ab to mujh ko mirī chhaTī his bhī
terā ehsās hī karātī hai
mere hamdard ko bhī le Duubo
mauj-e-ġham ab kise Darātī hai
jis qadar ho sake kamā nekī
ye bure vaqt kaam aatī hai
chāhe kitnī dabañg ho 'bādal'
naav kāġhaz kī Duub jaatī hai
yun dabe panw yaad aati hai
le ke dil ka qarar jati hai
main ne pardes ja ke dekh liya
teri KHushbu wahan bhi aati hai
ab to mujh ko meri chhaTi his bhi
tera ehsas hi karaati hai
mere hamdard ko bhi le Dubo
mauj-e-gham ab kise Daraati hai
jis qadar ho sake kama neki
ye bure waqt kaam aati hai
chahe kitni dabang ho 'baadal'
naw kaghaz ki Dub jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.