yun dekhne mein to bas KHak-e-muKHtasar hun main
yun dekhne mein to bas KHak-e-muKHtasar hun main
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
yuuñ dekhne meñ to bas ḳhāk-e-muḳhtasar huuñ maiñ
mujhe kured kabhī ḳhud meñ bahr-o-bar huuñ maiñ
azal se tā-ba-abad phailī haiñ jaḌeñ merī
kabhī na aa.ī ḳhizāñ jis pe vo shajar huuñ maiñ
hai ba.ad-e-ḳhuld-badar ik azāb-e-dar-badrī
jise talāsh hai manzil kī vo ḳhizar huuñ maiñ
kabhī nigāhoñ meñ hotā hai ālam-e-bālā
kabhī vajūd se hī apne be-ḳhabar huuñ maiñ
hai zaat merī kabhī to sabhī dukhoñ kā ilaaj
kabhī lage hai ki tiryāq-e-be-asar huuñ maiñ
mire vajūd pe hai munhasir tirī ta.adād
agarche terī nazar meñ bas ik sifar huuñ maiñ
samajh ke harf-e-mukarrar jo lauh-e-hastī par
zamāna garche hai munkir mirā magar huuñ maiñ
nahīñ hai bazm-e-ḳhirad meñ jo merī qadr to kyā
nigāh-e-ahl-e-junūñ meñ to mo'atabar huuñ maiñ
mirī zabān-e-sadāqat kā jurm hai 'ḳhāvar'
zamāna mujh ko samajhtā hai ḳhīra-sar huuñ maiñ
yun dekhne mein to bas KHak-e-muKHtasar hun main
mujhe kured kabhi KHud mein bahr-o-bar hun main
azal se ta-ba-abad phaili hain jaDen meri
kabhi na aai KHizan jis pe wo shajar hun main
hai baad-e-KHuld-badar ek azab-e-dar-badri
jise talash hai manzil ki wo KHizar hun main
kabhi nigahon mein hota hai aalam-e-baala
kabhi wajud se hi apne be-KHabar hun main
hai zat meri kabhi to sabhi dukhon ka ilaj
kabhi lage hai ki tiryaq-e-be-asar hun main
mere wajud pe hai munhasir teri tadad
agarche teri nazar mein bas ek sifar hun main
samajh ke harf-e-mukarrar jo lauh-e-hasti par
zamana garche hai munkir mera magar hun main
nahin hai bazm-e-KHirad mein jo meri qadr to kya
nigah-e-ahl-e-junun mein to mo'atabar hun main
meri zaban-e-sadaqat ka jurm hai 'KHawar'
zamana mujh ko samajhta hai KHira-sar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.