yun Dhal gaya hai dard mein darman kabhi kabhi
yuuñ Dhal gayā hai dard meñ darmāñ kabhī kabhī
naġhme bane haiñ girya-e-pinhāñ kabhī kabhī
hauñkī haiñ bād-e-sub.h kī rau meñ bhī āñdhiyāñ
ublā hai sāhiloñ se bhī tūfāñ kabhī kabhī
baḌhtā chalā gayā huuñ unhī kī taraf kuchh aur
yuuñ bhī huā huuñ un se gurezāñ kabhī kabhī
āñchoñ meñ gungunāte haiñ gulzār gaah gaah
sho.aloñ se paT gayā hai gulistāñ kabhī kabhī
lai se nikal paḌī hai kabhī hichkiyoñ kī fauj
aaheñ banī haiñ raag kā unvāñ kabhī kabhī
dāmān-e-gul-ruḳhāñ kī uḌā dī haiñ dhajjiyāñ
phāḌā hai ham ne yuuñ bhī garebāñ kabhī kabhī
kaliyāñ jhulas ga.ī haiñ dahakne lage haiñ phuul
yuuñ bhī chalī hai bād-e-bahārāñ kabhī kabhī
us vaqt bhī ki ḳhātir-e-majmūa thī nasīb
kam-baḳht dil huā hai pareshāñ kabhī kabhī
yun Dhal gaya hai dard mein darman kabhi kabhi
naghme bane hain girya-e-pinhan kabhi kabhi
haunki hain baad-e-subh ki rau mein bhi aandhiyan
ubla hai sahilon se bhi tufan kabhi kabhi
baDhta chala gaya hun unhi ki taraf kuchh aur
yun bhi hua hun un se gurezan kabhi kabhi
aanchon mein gungunate hain gulzar gah gah
shoalon se paT gaya hai gulistan kabhi kabhi
lai se nikal paDi hai kabhi hichkiyon ki fauj
aahen bani hain rag ka unwan kabhi kabhi
daman-e-gul-ruKHan ki uDa di hain dhajjiyan
phaDa hai hum ne yun bhi gareban kabhi kabhi
kaliyan jhulas gai hain dahakne lage hain phul
yun bhi chali hai baad-e-bahaaran kabhi kabhi
us waqt bhi ki KHatir-e-majmua thi nasib
kam-baKHt dil hua hai pareshan kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.