yun dil mein ehtimam-e-umid-e-visal hai
yuuñ dil meñ ehtimām-e-umīd-e-visāl hai
is hādse kā jaise koī ehtimāl hai
har chand aarzū mirī amr-e-muhāl hai
ḳhush huuñ ki vaj.h-e-raunaq-e-bazm-e-ḳhayāl hai
dekhā nigār-ḳhāna-e-māzī meñ jhāñk kar
kitnā ajiib silsila-e-māh-o-sāl hai
lauT aa.e tishna-kām hī dekhā agar kabhī
ā.īna-e-ḳhulūs meñ saaqī ke baal hai
ḳhvāboñ ke sarv yuuñ to bahut dil-fareb haiñ
vo paikar-e-jamāl magar be-misāl hai
'qāzī' shab-e-hayāt kahīñ be-karāñ na ho
bazm-e-vafā meñ zikr-e-sahar ḳhāl-ḳhāl hai
yun dil mein ehtimam-e-umid-e-visal hai
is hadse ka jaise koi ehtimal hai
har chand aarzu meri amr-e-muhaal hai
KHush hun ki wajh-e-raunaq-e-bazm-e-KHayal hai
dekha nigar-KHana-e-mazi mein jhank kar
kitna ajib silsila-e-mah-o-sal hai
lauT aae tishna-kaam hi dekha agar kabhi
aaina-e-KHulus mein saqi ke baal hai
KHwabon ke sarw yun to bahut dil-fareb hain
wo paikar-e-jamal magar be-misal hai
'qazi' shab-e-hayat kahin be-karan na ho
bazm-e-wafa mein zikr-e-sahar KHal-KHal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.