yun fasana kahne ka silsila badal jae
yuuñ fasāna kahne kā silsila badal jaa.e
agle moḌ par shāyad rāsta badal jaa.e
aa.ina badalne se chehra kab badaltā hai
haañ ye ain mumkin hai zāviya badal jaa.e
log mere baare meñ kuchh alag hī kahte haiñ
mujh se mil ke dekheñ to nazriya badal jaa.e
garche lafz-o-ma.anī kā rishta ḳhud hī mub.ham hai
vo agar bayāñ kar deñ vāqi.a badal jaa.e
dushmanoñ se milne kā faisla to merā thā
aap se mileñ shāyad faisla badal jaa.e
baat kahte kahte kyoñ ruk ga.iiñ adhar meñ tum
soch kar kaho shāyad silsila badal jaa.e
bārhā 'anīs' un se mil ke yuuñ to dekh aa.e
ab kī baar mumkin hai nazriya badal jaa.e
yun fasana kahne ka silsila badal jae
agle moD par shayad rasta badal jae
aaina badalne se chehra kab badalta hai
han ye ain mumkin hai zawiya badal jae
log mere bare mein kuchh alag hi kahte hain
mujh se mil ke dekhen to nazriya badal jae
garche lafz-o-mani ka rishta KHud hi mubham hai
wo agar bayan kar den waqia badal jae
dushmanon se milne ka faisla to mera tha
aap se milen shayad faisla badal jae
baat kahte kahte kyon ruk gain adhar mein tum
soch kar kaho shayad silsila badal jae
barha 'anis' un se mil ke yun to dekh aae
ab ki bar mumkin hai nazriya badal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.