yun guzre chaman se ki gulistan nahin dekha
yuuñ guzre chaman se ki gulistāñ nahīñ dekhā
kāñToñ pe chale aur bayābāñ nahīñ dekhā
us sham.a pe jalne ko taḌapte haiñ patañge
jis sham.a ko āñkhoñ se farozāñ nahīñ dekhā
raqsāñ hai yahāñ nūr-ba-kaf jalva-e-jānāñ
kyā tū ne abhī dīda-e-hairāñ nahīñ dekhā
hone ko to thā 'nūr' ke dil meñ bhī baḌā dard
lekin kabhī chehre se numāyāñ nahīñ dekhā
yun guzre chaman se ki gulistan nahin dekha
kanTon pe chale aur bayaban nahin dekha
us shama pe jalne ko taDapte hain patange
jis shama ko aankhon se farozan nahin dekha
raqsan hai yahan nur-ba-kaf jalwa-e-jaanan
kya tu ne abhi dida-e-hairan nahin dekha
hone ko to tha 'nur' ke dil mein bhi baDa dard
lekin kabhi chehre se numayan nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.