yun hasraton ki bhiD hai tanhaiyon ke pas
yuuñ hasratoñ kī bhiiḌ hai tanhā.iyoñ ke paas
jaise mahal meñ dāsiyāñ shahzādiyoñ ke paas
bachche jhulas na jaa.eñ jahālat kī aag meñ
rakhiye na is kapās ko chiñgāriyoñ ke paas
jin rahbaroñ ke dil meñ har ik kā ḳhayāl thā
vo nau-ratan nahīñ rahe darbāriyoñ ke paas
vo sādgī vo nāz-o-adā ḳhvāb ho ga.e
bas ḳhud-numā.ī rah ga.ī añgḌā.iyoñ ke paas
daur-e-jadīd aaj taraqqī kī aaḌ meñ
sab de chukā burā.iyāñ ābādiyoñ ke paas
tanhā samajh rahe haiñ use is jahāñ ke log
lekin hai dil ḳhayāloñ kī gahrā.iyoñ ke paas
yun hasraton ki bhiD hai tanhaiyon ke pas
jaise mahal mein dasiyan shahzadiyon ke pas
bachche jhulas na jaen jahaalat ki aag mein
rakhiye na is kapas ko chingariyon ke pas
jin rahbaron ke dil mein har ek ka KHayal tha
wo nau-ratan nahin rahe darbariyon ke pas
wo sadgi wo naz-o-ada KHwab ho gae
bas KHud-numai rah gai angDaiyon ke pas
daur-e-jadid aaj taraqqi ki aaD mein
sab de chuka buraiyan aabaadiyon ke pas
tanha samajh rahe hain use is jahan ke log
lekin hai dil KHayalon ki gahraiyon ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.