yun hi guzre na raat KHushiyon ki
yuuñ hī guzre na raat ḳhushiyoñ kī
kuchh to kar ham se baat ḳhushiyoñ kī
thaam lo tum ḳhushī ke dāman ko
muḳhtasar hai hayāt ḳhushiyoñ kī
chhoḌ kar ġham ke tazkire saare
aao chheḌeñge baat ḳhushiyoñ kī
ġham na aa.e tumhārī qismat meñ
gar nikālo zakāt ḳhushiyoñ kī
maiñ ne apnoñ pe e'timād kiyā
luT ga.ī kā.enāt ḳhushiyoñ kī
jiinā sīkho har ek lamhe ko
ġham lagā.e haiñ ghaat ḳhushiyoñ kī
haq-pasandī hai bas matā-e-hayāt
hai yahī kā.enāt ḳhushiyoñ kī
jā ke fārāñ pe dekhnā 'hassān'
ik hasīñ kā.enāt ḳhushiyoñ kī
yun hi guzre na raat KHushiyon ki
kuchh to kar hum se baat KHushiyon ki
tham lo tum KHushi ke daman ko
muKHtasar hai hayat KHushiyon ki
chhoD kar gham ke tazkire sare
aao chheDenge baat KHushiyon ki
gham na aae tumhaari qismat mein
gar nikalo zakat KHushiyon ki
main ne apnon pe e'timad kiya
luT gai kaenat KHushiyon ki
jina sikho har ek lamhe ko
gham lagae hain ghat KHushiyon ki
haq-pasandi hai bas mata-e-hayat
hai yahi kaenat KHushiyon ki
ja ke faran pe dekhna 'hassan'
ek hasin kaenat KHushiyon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.