yun hi sar chaDh ke har ek mauj-e-bala bolegi
yun hi sar chaDh ke har ek mauj-e-bala bolegi
Mahtab Haider Naqvi
MORE BYMahtab Haider Naqvi
yuuñ hī sar chaḌh ke har ik mauj-e-balā bolegī
ham jo ḳhāmosh raheñge to havā bolegī
boltā rahtā hai jo aaj sar-e-shāḳh-e-anā
chup sī lag jā.egī jis roz fanā bolegī
tujh se ummīd kise hai mirī lailā-e-hayāt
mahmil-e-nāz se kyā chashm-e-atā bolegī
vo to rahtā hai yūñhī apne gulistān meñ gum
lab-e-ḳhāmosh se kyā barg-e-hinā bolegī
mausam-e-nāra-e-bulbul bhī kabhī aa.egā
is se māyūs na ho ḳhalq-e-ḳhudā bolegī
yun hi sar chaDh ke har ek mauj-e-bala bolegi
hum jo KHamosh rahenge to hawa bolegi
bolta rahta hai jo aaj sar-e-shaKH-e-ana
chup si lag jaegi jis roz fana bolegi
tujh se ummid kise hai meri laila-e-hayat
mahmil-e-naz se kya chashm-e-ata bolegi
wo to rahta hai yunhi apne gulistan mein gum
lab-e-KHamosh se kya barg-e-hina bolegi
mausam-e-nara-e-bulbul bhi kabhi aaega
is se mayus na ho KHalq-e-KHuda bolegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.