yun ibtila-e-bar-e-digar ka pata chala
yuuñ ibtilā-e-bār-e-digar kā pata chalā
manzil pe jā ke agle safar kā pata chalā
ham mahfil-e-hayāt meñ shab bhar jalā kiye
jab sham.a gul huī to sahar kā pata chalā
har saañs us ke qadmoñ kī aahaT se naġhma-rez
har aan us kī rāhguzar kā pata chalā
maqtal meñ bhī sabhoñ se alag apnī aan thī
dastār se hī logoñ ko sar kā pata chalā
sahrā-e-jism meñ thā sarāboñ kā silsila
'hālī' kuchh ab fareb-e-nazar kā pata chalā
yun ibtila-e-bar-e-digar ka pata chala
manzil pe ja ke agle safar ka pata chala
hum mahfil-e-hayat mein shab bhar jala kiye
jab shama gul hui to sahar ka pata chala
har sans us ke qadmon ki aahaT se naghma-rez
har aan us ki rahguzar ka pata chala
maqtal mein bhi sabhon se alag apni aan thi
dastar se hi logon ko sar ka pata chala
sahra-e-jism mein tha sarabon ka silsila
'haali' kuchh ab fareb-e-nazar ka pata chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.