yun in aankhon ko taDapne ki saza di usne
yuuñ in āñkhoñ ko taḌapne kī sazā dī us ne
apnī tasvīr hī D-P se haTā dī us ne
parda-poshī kī jazā kyā use mā'lūm nahīñ
raaz kī baat thī par sab ko batā dī us ne
pahle maiñ dil se gayā baa'd nigāhoñ se bhī
ek hī jurm kī do baar sazā dī us ne
pahle taktā rahā khiḌkī se vo ḳhāmoshī se
aur phir car kī raftār baḌhā dī us ne
kaisī ab sālgirah kaisī badhā.ī yaaro
vo jo bichhḌā to mirī 'umr ghaTā dī us ne
gar palaTtā to ye tauhīn-e-anā ho jaatī
maiñ ne dekhā hī nahīñ ḳhuub sadā dī us ne
pahle har ḳhat mirā jī bhar ke nihārā 'sāhil'
aur phir un meñ vahīñ aag lagā dī us ne
yun in aankhon ko taDapne ki saza di us ne
apni taswir hi D-P se haTa di us ne
parda-poshi ki jaza kya use ma'lum nahin
raaz ki baat thi par sab ko bata di us ne
pahle main dil se gaya ba'd nigahon se bhi
ek hi jurm ki do bar saza di us ne
pahle takta raha khiDki se wo KHamoshi se
aur phir car ki raftar baDha di us ne
kaisi ab salgirah kaisi badhai yaro
wo jo bichhDa to meri 'umr ghaTa di us ne
gar palaTta to ye tauhin-e-ana ho jati
main ne dekha hi nahin KHub sada di us ne
pahle har KHat mera ji bhar ke nihaara 'sahil'
aur phir un mein wahin aag laga di us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.