yun jawani aai ruKHsat ho gai
yuuñ javānī aa.ī ruḳhsat ho ga.ī
aa.ina dekhā to hairat ho ga.ī
baḌh ga.ī kuchh aur tauqīr-e-junūñ
apnā ghar dekhā to vahshat ho ga.ī
chhup chhupāte phir rahe the aaj tak
aaj tasht-az-bām ġhurbat ho ga.ī
justujū ke paañv thak kar rah ga.e
dūrī-e-manzil qayāmat ho ga.ī
aap ke aane se bas itnā huā
kuchh to taskīn-e-tabī.at ho ga.ī
aa.e baiThe aur uTh kar chal diye
kis qadar jaldī qayāmat ho ga.ī
yun jawani aai ruKHsat ho gai
aaina dekha to hairat ho gai
baDh gai kuchh aur tauqir-e-junun
apna ghar dekha to wahshat ho gai
chhup chhupate phir rahe the aaj tak
aaj tasht-az-baam ghurbat ho gai
justuju ke panw thak kar rah gae
duri-e-manzil qayamat ho gai
aap ke aane se bas itna hua
kuchh to taskin-e-tabiat ho gai
aae baiThe aur uTh kar chal diye
kis qadar jaldi qayamat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.