yun kabhi pindar ka jauhar khule
yuuñ kabhī pindār kā jauhar khule
'aks apne 'aks ke andar khule
dā.ere sab toḌ kar niklā jo maiñ
mujh pe tab ramz-e-mah-o-aḳhtar khule
kahnā āsāñ thā ḳhudā-hāfiz magar
phir darūn-e-qalb sau nashtar khule
‘aql-o-dānish se junūñ se thak chukā
zaat par koī nayā mehvar khule
be-niyāz-e-rang-e-duniyā jab huā
chashm-e-bīnā par 'ajab manzar khule
naam merā hī sar-e-fihrist ho
jab tire 'ushshāq kā mahzar khule
shab Dhale āñkhoñ meñ tab aa.egī niiñd
ḳhaak par jab ḳhaak kā bistar khule
muntazir hai jazba-e-dīda 'zahīr'
dil kī pahnā.ī meñ vo dilbar khule
yun kabhi pindar ka jauhar khule
'aks apne 'aks ke andar khule
daere sab toD kar nikla jo main
mujh pe tab ramz-e-mah-o-aKHtar khule
kahna aasan tha KHuda-hafiz magar
phir darun-e-qalb sau nashtar khule
‘aql-o-danish se junun se thak chuka
zat par koi naya mehwar khule
be-niyaz-e-rang-e-duniya jab hua
chashm-e-bina par 'ajab manzar khule
nam mera hi sar-e-fihrist ho
jab tere 'ushshaq ka mahzar khule
shab Dhale aankhon mein tab aaegi nind
KHak par jab KHak ka bistar khule
muntazir hai jazba-e-dida 'zahir'
dil ki pahnai mein wo dilbar khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.