yun kam-nasibiyon ka badal chahiye hamein
yuuñ kam-nasībiyoñ kā badal chāhiye hameñ
sūkhe hue shajar se bhī phal chāhiye hameñ
chhoTī sī ek jhoñpḌī jin ko nahīñ nasīb
kahte haiñ vo bhī shīsh mahal chāhiye hameñ
bār-e-ġham-e-hayāt ne aisā kiyā hai haal
ghabrā ke kah rahe haiñ ajal chāhiye hameñ
is baar kis adā se milegī vo dekhnā
vo jāntī hai jaisī ġhazal chāhiye hameñ
yun kam-nasibiyon ka badal chahiye hamein
sukhe hue shajar se bhi phal chahiye hamein
chhoTi si ek jhonpDi jin ko nahin nasib
kahte hain wo bhi shish mahal chahiye hamein
bar-e-gham-e-hayat ne aisa kiya hai haal
ghabra ke kah rahe hain ajal chahiye hamein
is bar kis ada se milegi wo dekhna
wo jaanti hai jaisi ghazal chahiye hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.