yun KHana-e-qudrat ki tahrir nazar aai
yun KHana-e-qudrat ki tahrir nazar aai
Mohammad Mirza Wasif Rudaulvi
MORE BYMohammad Mirza Wasif Rudaulvi
yuuñ ḳhāna-e-qudrat kī tahrīr nazar aa.ī
tadbīr se jab haare taqdīr nazar aa.ī
aġhyār hañseñ boleñ ham saañs na leñ khul kar
is bazm meñ ye apnī tauqīr nazar aa.ī
gesū ke tasavvur meñ soyā jo maiñ dīvāna
bas aañkh jhapakte hī zanjīr nazar aa.ī
soz-e-tap-e-furqat se ye haal huā 'vāsif'
tasvīr ke kāġhaz meñ tabḳhīr nazar aa.ī
yun KHana-e-qudrat ki tahrir nazar aai
tadbir se jab haare taqdir nazar aai
aghyar hansen bolen hum sans na len khul kar
is bazm mein ye apni tauqir nazar aai
gesu ke tasawwur mein soya jo main diwana
bas aankh jhapakte hi zanjir nazar aai
soz-e-tap-e-furqat se ye haal hua 'wasif'
taswir ke kaghaz mein tabKHir nazar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.