yun KHalaon mein nihayat ghaur se dekha na kar
yuuñ ḳhalāoñ meñ nihāyat ġhaur se dekhā na kar
mere baare meñ mirī jaañ is qadar sochā na kar
bandagī ko log de lete haiñ kamzorī kā naam
'ijz achchhā hai magar tū ḳhud ko naqsh-e-pā na kar
ho sake to dil meñ paidā kar mohabbat kā ḳhayāl
ye muqaddas lafz sat.h-e-āb par likhā na kar
reza reza ho rahe haiñ aa.ine iḳhlās ke
apnī āñkhoñ se ye manzar dekh par shikva na kar
de sake tujh ko kabhī terī vafāoñ kā javāb
us havāle se kabhī ruḳh jānib-e-duniyā na kar
jin kī tā'bīreñ nahīñ mumkin kabhī sultān-'rashk'
ho sake to is tarah ke ḳhvāb bhī dekhā na kar
yun KHalaon mein nihayat ghaur se dekha na kar
mere bare mein meri jaan is qadar socha na kar
bandagi ko log de lete hain kamzori ka nam
'ijz achchha hai magar tu KHud ko naqsh-e-pa na kar
ho sake to dil mein paida kar mohabbat ka KHayal
ye muqaddas lafz sath-e-ab par likha na kar
reza reza ho rahe hain aaine iKHlas ke
apni aankhon se ye manzar dekh par shikwa na kar
de sake tujh ko kabhi teri wafaon ka jawab
us hawale se kabhi ruKH jaanib-e-duniya na kar
jin ki ta'biren nahin mumkin kabhi sultan-'rashk'
ho sake to is tarah ke KHwab bhi dekha na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.