yun kisi baat se ab Dar nahin lagta mujhko
yuuñ kisī baat se ab Dar nahīñ lagtā mujh ko
vahī hotā hai jo aksar nahīñ lagtā mujh ko
phuul lagtā nahīñ hargiz tire hoñToñ kī misāl
sarv tujh qad ke barābar nahīñ lagtā mujh ko
koī tālāb na mahtāb-e-shab-e-vasl kā aks
ye mire ḳhvāb kā manzar nahīñ lagtā mujh ko
jaane kyā ramz hai lagtā nahīñ sahrā sahrā
aur samundar bhī samundar nahīñ lagtā mujh ko
dar-o-dīvār se pahchān baḌhā.ūñ kaise
jab mirā ghar hī mirā ghar nahīñ lagtā mujh ko
baiThe rahnā hai 'fidā' rāhguzar meñ ya.anī
aa ke jab tak koī patthar nahīñ lagtā mujh ko
yun kisi baat se ab Dar nahin lagta mujh ko
wahi hota hai jo aksar nahin lagta mujh ko
phul lagta nahin hargiz tere honTon ki misal
sarw tujh qad ke barabar nahin lagta mujh ko
koi talab na mahtab-e-shab-e-wasl ka aks
ye mere KHwab ka manzar nahin lagta mujh ko
jaane kya ramz hai lagta nahin sahra sahra
aur samundar bhi samundar nahin lagta mujh ko
dar-o-diwar se pahchan baDhaun kaise
jab mera ghar hi mera ghar nahin lagta mujh ko
baiThe rahna hai 'fida' rahguzar mein yani
aa ke jab tak koi patthar nahin lagta mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.