yun lage dard ki is dil se shanasai hai
yuuñ lage dard kī is dil se shanāsā.ī hai
mausam-e-ġham kī tabhī to ye lahar aa.ī hai
toḌ kar rishta yuuñ ilzām lagāne vaale
bevafā maiñ huuñ agar tū bhī to harjā.ī hai
chāñd niklā nahīñ tū bhī nahīñ dikhtā ab to
raat hai maiñ huuñ añdherā hai ye tanhā.ī hai
raaz tere jo chhupā.ūñ to ye dam ghuTtā hai
baat kah duuñ jo zamāne se to rusvā.ī hai
jaan le kar vo gayā phir bhī 'sachin' zinda huuñ
baat ma.amūlī nahīñ us kī masīhā.ī hai
yun lage dard ki is dil se shanasai hai
mausam-e-gham ki tabhi to ye lahar aai hai
toD kar rishta yun ilzam lagane wale
bewafa main hun agar tu bhi to harjai hai
chand nikla nahin tu bhi nahin dikhta ab to
raat hai main hun andhera hai ye tanhai hai
raaz tere jo chhupaun to ye dam ghuTta hai
baat kah dun jo zamane se to ruswai hai
jaan le kar wo gaya phir bhi 'sachin' zinda hun
baat mamuli nahin us ki masihai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.