yun lagta hai jaise hum dariya ke ruKH par rahte hain
yuuñ lagtā hai jaise ham dariyā ke ruḳh par rahte haiñ
us kī andhī lahroñ ke qātil dhāre par bahte haiñ
sadiyoñ kī tārīḳh yahāñ qirtās-e-havā par likkhī hai
qarnoñ ke afsāne ham se koh-o-bayābāñ kahte haiñ
vaqt se pahle bachchoñ ne chehroñ pe buḌhāpā oḌh liyā
titlī ban kar uḌne vaale soch meñ Duube rahte haiñ
jab se andhī zulmat ne sūraj par shab-ḳhūñ maarā hai
sab farzāne apnā apnā chehra DhūñDte rahte haiñ
'fāriġh' kaise daur meñ ye tārīḳh hameñ le aa.ī hai
apne dukh bhī sahte haiñ tārīḳh ke dukh bhī sahte haiñ
yun lagta hai jaise hum dariya ke ruKH par rahte hain
us ki andhi lahron ke qatil dhaare par bahte hain
sadiyon ki tariKH yahan qirtas-e-hawa par likkhi hai
qarnon ke afsane hum se koh-o-bayaban kahte hain
waqt se pahle bachchon ne chehron pe buDhapa oDh liya
titli ban kar uDne wale soch mein Dube rahte hain
jab se andhi zulmat ne suraj par shab-KHun mara hai
sab farzane apna apna chehra DhunDte rahte hain
'farigh' kaise daur mein ye tariKH hamein le aai hai
apne dukh bhi sahte hain tariKH ke dukh bhi sahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.