yun mera ashk bahana bhi ek bahana laga
yuuñ merā ashk bahānā bhī ik bahāna lagā
ki merā sach to use jhuuT kā fasāna lagā
vo ik qadam pe hī āñkhoñ se ho gayā ojhal
maiñ jast bhar ke uḌā aur mujhe zamāna lagā
mujhe na ro ye ḳhasāra nahīñ kuchh aur hai dost
savād-e-ishq meñ maiñ kyā mirā gharānā lagā
vo ab mazār pe baiThā huā hai mere liye
use kaho mujhe jiine kī badduā na lagā
vo aa.ina thā ki ik zor-dār qahqaha thā
mujhe to pahlī nazar meñ hī maiñ divāna lagā
vo dūsroñ kī nazar meñ ġhalat sahī 'mahbūb'
burī nazar se bhī dekhā hai to burā na lagā
yun mera ashk bahana bhi ek bahana laga
ki mera sach to use jhuT ka fasana laga
wo ek qadam pe hi aankhon se ho gaya ojhal
main jast bhar ke uDa aur mujhe zamana laga
mujhe na ro ye KHasara nahin kuchh aur hai dost
sawad-e-ishq mein main kya mera gharana laga
wo ab mazar pe baiTha hua hai mere liye
use kaho mujhe jine ki baddua na laga
wo aaina tha ki ek zor-dar qahqaha tha
mujhe to pahli nazar mein hi main diwana laga
wo dusron ki nazar mein ghalat sahi 'mahbub'
buri nazar se bhi dekha hai to bura na laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.