yun mujh pe jafa hazar kijo
yuuñ mujh pe jafā hazār kiijo
par ġhair ko to na pyaar kiijo
karte ho tum vafā kī bāteñ
par ham se Tuk āñkheñ chaar kiijo
ājā.iyo yaar ghar se jaldī
mat kushta-e-intizār kiijo
qasdan to kahāñ pa bhūle hī se
īdhar bhī kabhū guzār kiijo
koī baat hai tujh se dil phire kā
is ko to mat e'tibār kiijo
'bedār' tū is jahāñ meñ aa kar
jo chāhe so mere yaar kiijo
par jis se gire kisū ke dil se
vo kaam na iḳhtiyār kiijo
yun mujh pe jafa hazar kijo
par ghair ko to na pyar kijo
karte ho tum wafa ki baaten
par hum se Tuk aankhen chaar kijo
aajaiyo yar ghar se jaldi
mat kushta-e-intizar kijo
qasdan to kahan pa bhule hi se
idhar bhi kabhu guzar kijo
koi baat hai tujh se dil phire ka
is ko to mat e'tibar kijo
'bedar' tu is jahan mein aa kar
jo chahe so mere yar kijo
par jis se gire kisu ke dil se
wo kaam na iKHtiyar kijo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.