yun mujhe be-nishan kar dije
yuuñ mujhe be-nishān kar diije
qabr merā makān kar diije
lazzat-e-dard kam na ho jaa.e
zaḳhm phir se javān kar diije
dhuup ḳhushiyoñ kī baḌh ga.ī hai bahut
ġham kā phir sā.ebān kar diije
chashm-e-nam khol de na raaz mirā
mujh ko phir be-zabān kar diije
tuḳhm-e-ḳhvāhish na jis meñ ag paa.e
bāñjh vo gulsitān kar diije
yun mujhe be-nishan kar dije
qabr mera makan kar dije
lazzat-e-dard kam na ho jae
zaKHm phir se jawan kar dije
dhup KHushiyon ki baDh gai hai bahut
gham ka phir saeban kar dije
chashm-e-nam khol de na raaz mera
mujh ko phir be-zaban kar dije
tuKHm-e-KHwahish na jis mein ag pae
banjh wo gulsitan kar dije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.