yun mujhe teri sada apni taraf khinchti hai
yuuñ mujhe terī sadā apnī taraf khīñchtī hai
jaise ḳhushbū ko havā apnī taraf khīñchtī hai
ye mujhe niiñd meñ chalne kī jo bīmārī hai
mujh ko ik ḳhvāb-sarā apnī taraf khīñchtī hai
mujhe dariyā se nahīñ hai koī lenā-denā
kyuuñ mujhe mauj-e-balā apnī taraf khīñchtī hai
khīñchtī hai mujhe rah rah ke mohabbat us kī
jaise faanī ko fanā apnī taraf khīñchtī hai
maiñ huuñ sūraj sā ravāñ raat kī jānib 'shāhid'
mujh barahna ko qabā apnī taraf khīñchtī hai
yun mujhe teri sada apni taraf khinchti hai
jaise KHushbu ko hawa apni taraf khinchti hai
ye mujhe nind mein chalne ki jo bimari hai
mujh ko ek KHwab-sara apni taraf khinchti hai
mujhe dariya se nahin hai koi lena-dena
kyun mujhe mauj-e-bala apni taraf khinchti hai
khinchti hai mujhe rah rah ke mohabbat us ki
jaise fani ko fana apni taraf khinchti hai
main hun suraj sa rawan raat ki jaanib 'shahid'
mujh barahna ko qaba apni taraf khinchti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.