yun mukafat-e-amal sab kuchh uTha kar le gaya
yun mukafat-e-amal sab kuchh uTha kar le gaya
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
yuuñ mukāfāt-e-amal sab kuchh uThā kar le gayā
sar-phirā sailāb bastī ko bahā kar le gayā
sāya-e-rahmat saroñ pe un ke rahtā hai mudām
jab bhī koī apne dushman ko manā kar le gayā
jab khulā bāb-e-hidāyat ishq-e-bazm-e-nūr meñ
vādī-e-zulmat se aasī ko uThā kar le gayā
soz-e-bātin se maiñ rahtā huuñ musalsal muztarib
ḳhauf-e-mahshar niiñd bhī merī uḌā kar le gayā
lāpata haiñ jaane vaale yuuñ farishta maut kā
un ko har naqsh-e-qadam apnā miTā kar le gayā
mil ga.ī bār-e-ta.ayyush se mujhe 'sāhil' najāt
māl-o-zar rahzan mirā saarā churā kar le gayā
yun mukafat-e-amal sab kuchh uTha kar le gaya
sar-phira sailab basti ko baha kar le gaya
saya-e-rahmat saron pe un ke rahta hai mudam
jab bhi koi apne dushman ko mana kar le gaya
jab khula bab-e-hidayat ishq-e-bazm-e-nur mein
wadi-e-zulmat se aasi ko uTha kar le gaya
soz-e-baatin se main rahta hun musalsal muztarib
KHauf-e-mahshar nind bhi meri uDa kar le gaya
lapata hain jaane wale yun farishta maut ka
un ko har naqsh-e-qadam apna miTa kar le gaya
mil gai bar-e-tayyush se mujhe 'sahil' najat
mal-o-zar rahzan mera sara chura kar le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.