yun na barbaad ho KHuda koi
yuuñ na barbād ho ḳhudā koī
hāl-e-dil sun ke ro diyā koī
aañkh se kyoñ Tapak paḌā aañsū
dil kā TuuTā hai aabla koī
dard-e-dil hai bahut hī jān-gusil
dard-e-dil kī nahīñ davā koī
koī tadbīr ban nahīñ paatī
kaam kartī nahīñ duā koī
us kī ḳhafagī kī jab ḳhabar aa.ī
jaan se ho gayā ḳhafā koī
rasm duniyā kī ye purānī hai
bevafā hai to bā-vafā koī
ishq ke marhale kaThin haiñ bahut
ho sakā tai na marhala koī
rāh-e-ulfat bahut hai pechīda
ibtidā hai na intihā koī
maiñ mohabbat meñ jaan de dūñgā
mujh pe kartā rahe jafā koī
ḳhanjar-e-chashm pe hai naaz use
ḳhūn-e-dil meñ nahā gayā koī
airoñ ġhairoñ pe hai nigāh-e-karam
hai na 'arshad' se vāsta koī
yun na barbaad ho KHuda koi
haal-e-dil sun ke ro diya koi
aankh se kyon Tapak paDa aansu
dil ka TuTa hai aabla koi
dard-e-dil hai bahut hi jaan-gusil
dard-e-dil ki nahin dawa koi
koi tadbir ban nahin pati
kaam karti nahin dua koi
us ki KHafagi ki jab KHabar aai
jaan se ho gaya KHafa koi
rasm duniya ki ye purani hai
bewafa hai to ba-wafa koi
ishq ke marhale kaThin hain bahut
ho saka tai na marhala koi
rah-e-ulfat bahut hai pechida
ibtida hai na intiha koi
main mohabbat mein jaan de dunga
mujh pe karta rahe jafa koi
KHanjar-e-chashm pe hai naz use
KHun-e-dil mein naha gaya koi
airon ghairon pe hai nigah-e-karam
hai na 'arshad' se wasta koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.