yun na jaan ashk hamein jo gaya bana na mila
yuuñ na jaan ashk hameñ jo gayā baanā na milā
duur le jaa.e jo mujh se koī aisā na milā
ḳhālī haath ab ke guzarne na dī peḌoñ ne basant
patjhaḌ aa.ī to kisī shāḳh pe pattā na milā
apnā saaya hī Darātā ho to kis se kahiye
kahiye kis muñh se ki kis ko koī apnā na milā
aa.ina dekhne Thahre to nazar kaañp ga.ī
aur jo aks hamīñ ko hameñ aisā na milā
aañkh meñ dariyā liye phirte rahe barsoñ tak
jis ke siine meñ utar jaatā vo sahrā na milā
dar khulā thā to havā pyaar liye aa.ī thī
band hai to use bāhar koī apnā na milā
apnā hī jism badal jā.egā kab ilm thā 'ashk'
uTThe to kal jahāñ so.e the vo kamra na milā
yun na jaan ashk hamein jo gaya bana na mila
dur le jae jo mujh se koi aisa na mila
KHali hath ab ke guzarne na di peDon ne basant
patjhaD aai to kisi shaKH pe patta na mila
apna saya hi Daraata ho to kis se kahiye
kahiye kis munh se ki kis ko koi apna na mila
aaina dekhne Thahre to nazar kanp gai
aur jo aks hamin ko hamein aisa na mila
aankh mein dariya liye phirte rahe barson tak
jis ke sine mein utar jata wo sahra na mila
dar khula tha to hawa pyar liye aai thi
band hai to use bahar koi apna na mila
apna hi jism badal jaega kab ilm tha 'ashk'
uTThe to kal jahan soe the wo kamra na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.