yun na koi teri mahfil mein pareshan ho jae
yuuñ na koī tirī mahfil meñ pareshāñ ho jaa.e
jaise āvāz-e-sabā dasht meñ hairāñ ho jaa.e
muntazir haiñ mirī aahaT kī balā.eñ kitnī
ek mushkil to nahīñ hai ki jo āsāñ ho jaa.e
chāk-e-dāman hī zamāne se nahīñ hotā rafū
aur agar siina kabhī chāk-e-garebāñ ho jaa.e
pech-dar-pech hai yuuñ silsila-e-zulf-e-hayāt
haath lagte hī jo kuchh aur bhī pechāñ ho jaa.e
dāġh-e-dil jalne lage bujh ga.ī har sham-e-tarab
yuuñ hai to yuuñ hī sahī ghar meñ charāġhāñ ho jaa.e
mujh pe qadġhan hai ki maiñ bazm meñ ḳhāmosh rahūñ
aur ḳhamoshī hī jo rusvā.ī kā sāmāñ ho jaa.e
nashtar-e-shauq ke hāthoñ gul-e-sad-barg hai dil
ḳhuub ho ab jo ye nazr-e-dam-e-tūfāñ ho jaa.e
kyuuñ na phir jalne lageñ rashk se vīrāna-o-dasth
shahr jab dil kī nigāhoñ meñ bayābāñ ho jaa.e
dil ko saudā hai rahe rañg-e-shafaq pesh-e-nazar
ġham ko ik taur to bahlāne kā sāmāñ ho jaa.e
raushnī shaam kī sun paa.e na āvāza-e-shab
mohr-e-zartāb kā āfāq se paimāñ ho jaa.e
baat is aañkh meñ poshīda hai vo 'arsh' ki jo
lab se nikle to mire siine pe paikāñ ho jaa.e
yun na koi teri mahfil mein pareshan ho jae
jaise aawaz-e-saba dasht mein hairan ho jae
muntazir hain meri aahaT ki balaen kitni
ek mushkil to nahin hai ki jo aasan ho jae
chaak-e-daman hi zamane se nahin hota rafu
aur agar sina kabhi chaak-e-gareban ho jae
pech-dar-pech hai yun silsila-e-zulf-e-hayat
hath lagte hi jo kuchh aur bhi pechan ho jae
dagh-e-dil jalne lage bujh gai har sham-e-tarab
yun hai to yun hi sahi ghar mein charaghan ho jae
mujh pe qadghan hai ki main bazm mein KHamosh rahun
aur KHamoshi hi jo ruswai ka saman ho jae
nashtar-e-shauq ke hathon gul-e-sad-barg hai dil
KHub ho ab jo ye nazr-e-dam-e-tufan ho jae
kyun na phir jalne lagen rashk se virana-o-dasth
shahr jab dil ki nigahon mein bayaban ho jae
dil ko sauda hai rahe rang-e-shafaq pesh-e-nazar
gham ko ek taur to bahlane ka saman ho jae
raushni sham ki sun pae na aawaza-e-shab
mohr-e-zartab ka aafaq se paiman ho jae
baat is aankh mein poshida hai wo 'arsh' ki jo
lab se nikle to mere sine pe paikan ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.