yun na mil mujhse KHafa ho jaise
yuuñ na mil mujh se ḳhafā ho jaise
saath chal mauj-e-sabā ho jaise
log yuuñ dekh ke hañs dete haiñ
tū mujhe bhuul gayā ho jaise
ishq ko shirk kī had tak na baḌhā
yuuñ na mil ham se ḳhudā ho jaise
maut bhī aa.ī to is naaz ke saath
mujh pe ehsān kiyā ho jaise
aise anjān bane baiThe ho
tum ko kuchh bhī na pata ho jaise
hichkiyāñ raat ko aatī hī rahīñ
tū ne phir yaad kiyā ho jaise
zindagī biit rahī hai 'dānish'
ek be-jurm sazā ho jaise
yun na mil mujh se KHafa ho jaise
sath chal mauj-e-saba ho jaise
log yun dekh ke hans dete hain
tu mujhe bhul gaya ho jaise
ishq ko shirk ki had tak na baDha
yun na mil hum se KHuda ho jaise
maut bhi aai to is naz ke sath
mujh pe ehsan kiya ho jaise
aise anjaan bane baiThe ho
tum ko kuchh bhi na pata ho jaise
hichkiyan raat ko aati hi rahin
tu ne phir yaad kiya ho jaise
zindagi bit rahi hai 'danish'
ek be-jurm saza ho jaise
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 117)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.