yun na mujhko pyar se lillah dekho bar bar
yuuñ na mujh ko pyaar se lillāh dekho baar baar
ye adā to aur bhī kartī haiñ dil ko be-qarār
va.ada kar ke bhī na tum aao tumhārā iḳhtiyār
ham kareñge rāt-din phir bhī tumhārā intizār
guftugū mīThī diloñ meñ buġhz niyyat meñ fasād
kījiye kyā ḳhaak duniyā meñ kisī kā e.atibār
lo ḳhudā-hāfiz mire hosh-o-ḳhirad kā dosto
phuul phir khilne lage phir aa ga.ī fasl-e-bahār
ham to jab jāneñ ki kaam aa.e musībat meñ koī
varna yuuñ kahne ko duniyā meñ haiñ lākhoñ jāñ-nisār
chand roza aadmī kī zindagī kā ham-nashīñ
koī bhī pahlū nazar aaya na mujh ko pā.edār
ham to aksar ḳhuun ro.e haiñ javānī meñ 'naresh'
aur hoñge jin ke hai ahd-e-javānī sāzgār
yun na mujh ko pyar se lillah dekho bar bar
ye ada to aur bhi karti hain dil ko be-qarar
wada kar ke bhi na tum aao tumhaara iKHtiyar
hum karenge raat-din phir bhi tumhaara intizar
guftugu miThi dilon mein bughz niyyat mein fasad
kijiye kya KHak duniya mein kisi ka eatibar
lo KHuda-hafiz mere hosh-o-KHirad ka dosto
phul phir khilne lage phir aa gai fasl-e-bahaar
hum to jab jaanen ki kaam aae musibat mein koi
warna yun kahne ko duniya mein hain lakhon jaan-nisar
chand roza aadmi ki zindagi ka ham-nashin
koi bhi pahlu nazar aaya na mujh ko paedar
hum to aksar KHun roe hain jawani mein 'naresh'
aur honge jin ke hai ahd-e-jawani sazgar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.