yun nahin hum udas rahte hain
yuuñ nahīñ ham udaas rahte haiñ
apne maazī ke paas rahte haiñ
peḌ āñgan kā kaT gayā jab se
saare panchhī udaas rahte haiñ
terī yādoñ kā ek jangal hai
ham vahīñ ās-pās rahte hai
ham jaḌoñ ko to duur rahnā hai
phuul Daalī ke paas rahte haiñ
jo divāne haiñ hijr paate haiñ
vasl vaale to ḳhaas rahte hai
yun nahin hum udas rahte hain
apne mazi ke pas rahte hain
peD aangan ka kaT gaya jab se
sare panchhi udas rahte hain
teri yaadon ka ek jangal hai
hum wahin aas-pas rahte hai
hum jaDon ko to dur rahna hai
phul Dali ke pas rahte hain
jo diwane hain hijr pate hain
wasl wale to KHas rahte hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.