yun nahin koi dua baqi nahin
yuuñ nahīñ koī duā baaqī nahīñ
mere hisse kī havā baaqī nahīñ
tere hone ke tasavvur se bhī duur
ya.anī terā aasrā baaqī nahīñ
aañkh hai vābasta-e-ḳhvāb-e-ajal
yaaro koī ratjagā baaqī nahīñ
sun rahā huuñ duur āvāz-e-jaras
aur merā qāfila baaqī nahīñ
aks kī bechārgī ko dekh kar
maiñ ye samjhā aa.ina baaqī nahīñ
yun nahin koi dua baqi nahin
mere hisse ki hawa baqi nahin
tere hone ke tasawwur se bhi dur
yani tera aasra baqi nahin
aankh hai wabasta-e-KHwab-e-ajal
yaro koi ratjaga baqi nahin
sun raha hun dur aawaz-e-jaras
aur mera qafila baqi nahin
aks ki bechaargi ko dekh kar
main ye samjha aaina baqi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.