yun naqab-e-ruKH muqabil se uThi
yuuñ naqāb-e-ruḳh muqābil se uThī
chashm-e-sad-nazzāra mushkil se uThī
bāzgasht-e-shor-e-ġharqābī sahī
koī to āvāz sāhil se uThī
qāfile haiñ kitne darmāñda ḳhirām
gard rāhoñ se na manzil se uThī
thaam kar dil kyā uThe arbāb-e-dard
ik qayāmat terī mahfil se uThī
sar se bhī guzrī hai tūfāñ kī tarah
jab bhī koī mauj-e-ḳhūñ dil se uThī
chashm-e-nazzāra se mānind-e-hijāb
tohmat-e-nazzāra mushkil se uThī
yun naqab-e-ruKH muqabil se uThi
chashm-e-sad-nazzara mushkil se uThi
bazgasht-e-shor-e-gharqabi sahi
koi to aawaz sahil se uThi
qafile hain kitne darmanda KHiram
gard rahon se na manzil se uThi
tham kar dil kya uThe arbab-e-dard
ek qayamat teri mahfil se uThi
sar se bhi guzri hai tufan ki tarah
jab bhi koi mauj-e-KHun dil se uThi
chashm-e-nazzara se manind-e-hijab
tohmat-e-nazzara mushkil se uThi
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 188)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.