yun qatl-e-am nau-e-bashar kar diya gaya
yuuñ qatl-e-ām nau-e-bashar kar diyā gayā
rāsiḳh tabī.atoñ hī meñ Dar kar diyā gayā
tārīḳh surḳh-rū hai inhīñ hādsāt se
jin hādsoñ se qat-e-nazar kar diyā gayā
is Dar se jaag uThe na kahīñ rāste kī chaap
kuchh qāfiloñ ko shahr-badar kar diyā gayā
sar dosh par rahā na rahā lekin āḳhirash
ye ma.arka-e-saḳht bhī sar kar diyā gayā
maqsūd to thā husn-e-tulū-o-ġhurūb kā
parda miyān-e-shām-o-sahar kar diyā gayā
alfāz dil kī aag se mahrūm ho ga.e
jab shā.irī ko sirf hunar kar diyā gayā
kuchh pattharoñ meñ qaid rahe umr bhar 'zamīr'
thī qabr asl meñ jise ghar kar diyā gayā
yun qatl-e-am nau-e-bashar kar diya gaya
rasiKH tabiaton hi mein Dar kar diya gaya
tariKH surKH-ru hai inhin hadsat se
jin hadson se qat-e-nazar kar diya gaya
is Dar se jag uThe na kahin raste ki chap
kuchh qafilon ko shahr-badar kar diya gaya
sar dosh par raha na raha lekin aaKHirash
ye marka-e-saKHt bhi sar kar diya gaya
maqsud to tha husn-e-tulu-o-ghurub ka
parda miyan-e-sham-o-sahar kar diya gaya
alfaz dil ki aag se mahrum ho gae
jab shairi ko sirf hunar kar diya gaya
kuchh pattharon mein qaid rahe umr bhar 'zamir'
thi qabr asl mein jise ghar kar diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.