yun sari umr zist ke darman mein rah gae
yuuñ saarī umr ziist ke darmāñ meñ rah ga.e
dāman silā to chaak garebāñ meñ rah ga.e
tahrīr kar sake na safar-nāma-e-hayāt
har moḌ par ta.ayyun-e-unvāñ meñ rah ga.e
manzil ko kuchh na raah kī sauġhāt de sake
jo aable the ḳhār-e-muġhīlāñ meñ rah ga.e
kāñTe chubhan malāl thakan aur be-kasī
kyā kyā the ham-safar jo bayābāñ meñ rah ga.e
kab mausam-e-bahār gayā kuchh pata nahīñ
aisā ulajh ke jaib-o-garebāñ meñ rah ga.e
ilzām ye bajā hai tirā ai ḳhayāl-e-dost
ham dil-navāzī-e-ġham-e-daurāñ meñ rah ga.e
shāna-kashoñ ne dil ko bhī shāna banā diyā
ḳham phir bhī kitne gesu-e-daurāñ meñ rah ga.e
ik ek kar ke dāġh-e-jigar de rahe the lau
yuuñ saarī raat jashn-e-charāġhāñ meñ rah ga.e
rindoñ ne apne ḳhuun se maqtal sajā diye
vaa.iz surūr-e-bāda-e-irfāñ meñ rah ga.e
ham ko to zindagī tah-e-ḳhanjar hī mil ga.ī
sab justujū-e-chashma-e-haivāñ meñ rah ga.e
'nātiq' kahāñ hai saf.ha-e-qirtās ko ḳhabar
kitne ḳhayāl zehn ke zindāñ meñ rah ga.e
yun sari umr zist ke darman mein rah gae
daman sila to chaak gareban mein rah gae
tahrir kar sake na safar-nama-e-hayat
har moD par tayyun-e-unwan mein rah gae
manzil ko kuchh na rah ki saughat de sake
jo aable the KHar-e-mughilan mein rah gae
kanTe chubhan malal thakan aur be-kasi
kya kya the ham-safar jo bayaban mein rah gae
kab mausam-e-bahaar gaya kuchh pata nahin
aisa ulajh ke jaib-o-gareban mein rah gae
ilzam ye baja hai tera ai KHayal-e-dost
hum dil-nawazi-e-gham-e-dauran mein rah gae
shana-kashon ne dil ko bhi shana bana diya
KHam phir bhi kitne gesu-e-dauran mein rah gae
ek ek kar ke dagh-e-jigar de rahe the lau
yun sari raat jashn-e-charaghan mein rah gae
rindon ne apne KHun se maqtal saja diye
waiz surur-e-baada-e-irfan mein rah gae
hum ko to zindagi tah-e-KHanjar hi mil gai
sab justuju-e-chashma-e-haiwan mein rah gae
'natiq' kahan hai safha-e-qirtas ko KHabar
kitne KHayal zehn ke zindan mein rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.