yun samajh lo ki ba-juz nam-e-KHuda kuchh na raha
yuuñ samajh lo ki ba-juz nām-e-ḳhudā kuchh na rahā
jal ke is aag meñ sab ḳhaak huā kuchh na rahā
kis kā sar kis kī ridā kis kā makāñ DhūñDte ho
qatl o ġhārat meñ to koī na bachā kuchh na rahā
ham kisī aur ke hone kī ḳhabar kyā dete
gum hue aise ki apnā bhī patā kuchh na rahā
kachche rañgoñ kī tarah uḌ ga.e saare hī hurūf
kore kāġhaz pe thā jo kuchh bhī likhā kuchh na rahā
'mohsin' is tarah luTī mahfil-e-sāz-o-āvāz
gul-e-naġhma na koī barg-e-navā kuchh na rahā
yun samajh lo ki ba-juz nam-e-KHuda kuchh na raha
jal ke is aag mein sab KHak hua kuchh na raha
kis ka sar kis ki rida kis ka makan DhunDte ho
qatl o ghaarat mein to koi na bacha kuchh na raha
hum kisi aur ke hone ki KHabar kya dete
gum hue aise ki apna bhi pata kuchh na raha
kachche rangon ki tarah uD gae sare hi huruf
kore kaghaz pe tha jo kuchh bhi likha kuchh na raha
'mohsin' is tarah luTi mahfil-e-saz-o-awaz
gul-e-naghma na koi barg-e-nawa kuchh na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.