yun sang na peDon ki kisi Dal pe maro
yuuñ sang na peḌoñ kī kisī Daal pe maaro
ik jast-e-nazar panchhiyoñ ke haal pe maaro
mujh paikar-e-ḳhāmosh meñ ik shor chhupā hai
patthar koī shīshe ke ḳhad-o-ḳhāl pe maaro
ai tā.iro shāyad ki nikal aa.e koī raah
sab mil ke agar choñch sadā jaal pe maaro
tārīf karo merī agar sach hai mirī baat
gar jhuuT kahūñ chāñTā mire gaal pe maaro
maanā ki tahī-dast huuñ ḳhud.dār huuñ maiñ bhī
yuuñ ta.ana musalsal na mire haal pe maaro
ham ḳhāk-nashīnoñ kī sadā jeb-talāshī
shab-ḳhūn kabhī ahl-e-zar-o-māl pe maaro
'merāj' ubhar aa.egī āvāz kī tahrīr
kankar jo kisī so.e hue taal pe maaro
yun sang na peDon ki kisi Dal pe maro
ek jast-e-nazar panchhiyon ke haal pe maro
mujh paikar-e-KHamosh mein ek shor chhupa hai
patthar koi shishe ke KHad-o-KHal pe maro
ai tairo shayad ki nikal aae koi rah
sab mil ke agar chonch sada jal pe maro
tarif karo meri agar sach hai meri baat
gar jhuT kahun chanTa mere gal pe maro
mana ki tahi-dast hun KHuddar hun main bhi
yun tana musalsal na mere haal pe maro
hum KHak-nashinon ki sada jeb-talashi
shab-KHun kabhi ahl-e-zar-o-mal pe maro
'meraj' ubhar aaegi aawaz ki tahrir
kankar jo kisi soe hue tal pe maro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.