yun shahr ke bazar mein kya kya nahin milta
yuuñ shahr ke bāzār meñ kyā kyā nahīñ miltā
par husn meñ saanī koī terā nahīñ nahīñ miltā
jo kuchh dil-e-nākām ne chāhā nahīñ miltā
manzil nahīñ miltī kabhī rastā nahīñ miltā
lahja nahīñ miltā kabhī chehra nahīñ miltā
duniyā meñ hameñ ek bhī tum sā nahīñ miltā
chhoḌā hai jo ik ghar ko to duujā nahīñ miltā
ab dil sā tire koī Thikāna nahīñ miltā
aatī hai ḳhushī gar to vo miltī hai adhūrī
ġham jab kabhī miltā hai akelā nahīñ miltā
yun shahr ke bazar mein kya kya nahin milta
par husn mein sani koi tera nahin nahin milta
jo kuchh dil-e-nakaam ne chaha nahin milta
manzil nahin milti kabhi rasta nahin milta
lahja nahin milta kabhi chehra nahin milta
duniya mein hamein ek bhi tum sa nahin milta
chhoDa hai jo ek ghar ko to duja nahin milta
ab dil sa tere koi Thikana nahin milta
aati hai KHushi gar to wo milti hai adhuri
gham jab kabhi milta hai akela nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.