Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun subuk-dosh hun jine ka bhi ilzam nahin

Siraj Lakhnavi

yun subuk-dosh hun jine ka bhi ilzam nahin

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    yuuñ subuk-dosh huuñ jiine bhī ilzām nahīñ

    aah itnī baḌī duniyā meñ koī kaam nahīñ

    merī tahqīq mirā husn-e-nazar aam nahīñ

    koī aalam ho mire aa.ine meñ shaam nahīñ

    os dāman pe hai āñkhoñ meñ namī jhalkī

    sub.h hone pe bhī āsūdgī-e-shām nahīñ

    mast huuñ nashsha-e-parvāz meñ ab hosh kahāñ

    ham-navā dekh mirā ruḳh to sū-e-dām nahīñ

    mātam ab ḳhaak karūñ be-sar-o-sāmānī

    ik diyā aaj mayassar hai to ab shaam nahīñ

    nashsha-e-hosh pe thī kam-nazarī tohmat

    khul ga.ī aañkh to ab koī sar-e-bām nahīñ

    yaad haiñ chashm-e-navāzish ke vo paiham nashtar

    ab to begāna-nigāhī bhī paiġhām nahīñ

    koī surḳhī ho to afsāna samajh meñ aa.e

    haa.e vo dil ḳhalish jis koī naam nahīñ

    ġhusl-e-tauba ke liye bhī nahīñ miltī hai sharāb

    ab hameñ pyaas lagī hai to koī jaam nahīñ

    phir ujālā ujālā nazar aatā hai 'sirāj'

    dil ho bedār to duniyā meñ kabhī shaam nahīñ

    yun subuk-dosh hun jine ka bhi ilzam nahin

    aah itni baDi duniya mein koi kaam nahin

    meri tahqiq mera husn-e-nazar aam nahin

    koi aalam ho mere aaine mein sham nahin

    os daman pe hai aankhon mein nami ki jhalki

    subh hone pe bhi aasudgi-e-sham nahin

    mast hun nashsha-e-parwaz mein ab hosh kahan

    ham-nawa dekh mera ruKH to su-e-dam nahin

    matam ab KHak karun be-sar-o-samani ka

    ek diya aaj mayassar hai to ab sham nahin

    nashsha-e-hosh pe thi kam-nazari ki tohmat

    khul gai aankh to ab koi sar-e-baam nahin

    yaad hain chashm-e-nawazish ke wo paiham nashtar

    ab to begana-nigahi ka bhi paigham nahin

    koi surKHi ho to afsana samajh mein aae

    hae wo dil ki KHalish jis ka koi nam nahin

    ghusl-e-tauba ke liye bhi nahin milti hai sharab

    ab hamein pyas lagi hai to koi jam nahin

    phir ujala hi ujala nazar aata hai 'siraj'

    dil ho bedar to duniya mein kabhi sham nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now