yun sukunat ki talabgar hui jati hai
yuuñ sukūnat kī talabgār huī jaatī hai
zindagī sāya-e-dīvār huī jaatī hai
har mulāqāt pe kuchh aur bahaktī nazreñ
kyā tirī zaat pur-asrār huī jaatī hai
sub.h kahtī hai mire saath chalo aage baḌho
mat kaho ziist girāñ-bār huī jaatī hai
yuuñ samā.ī hai tirī saañs mirī sāñsoñ meñ
har-nafas garmī-e-afkār huī jaatī hai
Dagmagā kar hī mirī ziist sañbhaltī hai zarā
kaun kahtā hai ki be kaar huī jaatī hai
ruuh to jism se rishte ko nibhāne ke liye
maut se barsar-e-paikār huī jaatī hai
justujū us kī agar koī ḳhatā hai 'ādil'
ye ḳhatā mujh se lagātār huī jaatī hai
yun sukunat ki talabgar hui jati hai
zindagi saya-e-diwar hui jati hai
har mulaqat pe kuchh aur bahakti nazren
kya teri zat pur-asrar hui jati hai
subh kahti hai mere sath chalo aage baDho
mat kaho zist giran-bar hui jati hai
yun samai hai teri sans meri sanson mein
har-nafas garmi-e-afkar hui jati hai
Dagmaga kar hi meri zist sanbhalti hai zara
kaun kahta hai ki be kar hui jati hai
ruh to jism se rishte ko nibhane ke liye
maut se barsar-e-paikar hui jati hai
justuju us ki agar koi KHata hai 'adil'
ye KHata mujh se lagatar hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.