yun sunahri dhup bikhri hai ruKH-e-kohsar par
yuuñ sunahrī dhuup bikhrī hai ruḳh-e-kohsār par
jis tarah ġhāza chamaktā hai tire ruḳhsār par
uḌte lamhoñ ko pakaḌne kī tamannā hai abas
ye parinde to kabhī Tikte nahīñ ashjār par
vo mire chehre pe kyā maazī kī tahrīreñ paḌhe
us kī nazreñ to jamī haiñ aaj ke aḳhbār par
aaj to ik hādisa us ko bhī nañgā kar gayā
laakh parde the paḌe jis shaḳhs ke kirdār par
aarzū ye hai ki tū ai kaash ho jaa.e amar
naam terā likh rahā huuñ ret kī dīvār par
kaise kaise log āḳhir kis tarah rauñde ga.e
kaun hai 'betāb' qādir vaqt kī raftār par
yun sunahri dhup bikhri hai ruKH-e-kohsar par
jis tarah ghaza chamakta hai tere ruKHsar par
uDte lamhon ko pakaDne ki tamanna hai abas
ye parinde to kabhi Tikte nahin ashjar par
wo mere chehre pe kya mazi ki tahriren paDhe
us ki nazren to jami hain aaj ke aKHbar par
aaj to ek hadisa us ko bhi nanga kar gaya
lakh parde the paDe jis shaKHs ke kirdar par
aarzu ye hai ki tu ai kash ho jae amar
nam tera likh raha hun ret ki diwar par
kaise kaise log aaKHir kis tarah raunde gae
kaun hai 'betab' qadir waqt ki raftar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.