yun tabassum-rez hai dil chashm-e-KHandan dekh kar
yun tabassum-rez hai dil chashm-e-KHandan dekh kar
Habeeb Ahmad Siddiqui
MORE BYHabeeb Ahmad Siddiqui
yuuñ tabassum-rez hai dil chashm-e-ḳhandāñ dekh kar
jaise dariyā muskurā.e māh-e-tābāñ dekh kar
bārgāh-e-nāz meñ sar ko jhukānā hī paḌā
husn kī rangīniyoñ ko juzv-e-īmāñ dekh kar
in butoñ ke ishva-e-rangīñ kī rangīñ shoḳhiyāñ
iltifāt-e-ḳhās hai mujh ko musalmāñ dekh kar
go na the nā-āshnā-e-rasm-o-rāh-e-dilbarī
phir bhī ham kho.e ga.e chashm-e-pashemāñ dekh kar
zindagī meñ quvvat-e-bālīdgī aatī ga.ī
har adā-e-husn meñ ik raaz pinhāñ dekh kar
husn kī ma.asūmiyat se dil ko hai ummīd-e-lutf
zer-e-lab ḳhandāñ hai koī dil kā armāñ dekh kar
be-dilī ne toḌ Daale rang-o-bū ke sab tilism
kyā kare koī bahār-e-sad-gulistāñ dekh kar
yun tabassum-rez hai dil chashm-e-KHandan dekh kar
jaise dariya muskurae mah-e-taban dekh kar
bargah-e-naz mein sar ko jhukana hi paDa
husn ki ranginiyon ko juzw-e-iman dekh kar
in buton ke ishwa-e-rangin ki rangin shoKHiyan
iltifat-e-KHas hai mujh ko musalman dekh kar
go na the na-ashna-e-rasm-o-rah-e-dilbari
phir bhi hum khoe gae chashm-e-pasheman dekh kar
zindagi mein quwwat-e-baalidgi aati gai
har ada-e-husn mein ek raaz pinhan dekh kar
husn ki masumiyat se dil ko hai ummid-e-lutf
zer-e-lab KHandan hai koi dil ka arman dekh kar
be-dili ne toD Dale rang-o-bu ke sab tilism
kya kare koi bahaar-e-sad-gulistan dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.