yun taDapte hue naushad watan se nikle
yuuñ taḌapte hue 'naushād' vatan se nikle
jis tarah bulbul-e-betāb chaman se nikle
vaa.e qismat ki huā dil na shagufta shab-e-vasl
haa.e armān na us ġhuncha-dahan se nikle
vaqt-e-ruḳhsat maiñ kahūñ kyā jo mirā haal huā
ashk jab dīda-e-ahbāb-e-vatan se nikle
baaġh meñ sūrat-e-nik.hat the tire ham vahshī
mausam-e-gul idhar aaya ki chaman se nikle
falak-e-tafraqa-andāz ne rahne na diyā
hausle kuchh bhī na yārān-e-vatan se nikle
dil jo 'naushād' lagāo to kisī gul-rū se
jaan nikle to ġham-e-ġhuncha-dahan se nikle
yun taDapte hue 'naushad' watan se nikle
jis tarah bulbul-e-betab chaman se nikle
wae qismat ki hua dil na shagufta shab-e-wasl
hae arman na us ghuncha-dahan se nikle
waqt-e-ruKHsat main kahun kya jo mera haal hua
ashk jab dida-e-ahbab-e-watan se nikle
bagh mein surat-e-nikhat the tere hum wahshi
mausam-e-gul idhar aaya ki chaman se nikle
falak-e-tafraqa-andaz ne rahne na diya
hausle kuchh bhi na yaran-e-watan se nikle
dil jo 'naushad' lagao to kisi gul-ru se
jaan nikle to gham-e-ghuncha-dahan se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.