yun tah-e-shabnam chaman rakhna bhi kya
yuuñ tah-e-shabnam chaman rakhnā bhī kyā
ḳhvāhishoñ ko be-suḳhan rakhnā bhī kyā
lams kī ta.abīr se nā-āshnā
ḳhvāb ke jaisā badan rakhnā bhī kyā
ghar kī dīvāreñ na deñ jis kā pata
aisī daulat aisā dhan rakhnā bhī kyā
bante bante bhī bigaḌ jaatī hai baat
itnī lahje meñ chubhan rakhnā bhī kyā
zindagī jiine kī zid apnī jagah
bāñdh kar sar se kafan rakhnā bhī kyā
yun tah-e-shabnam chaman rakhna bhi kya
KHwahishon ko be-suKHan rakhna bhi kya
lams ki tabir se na-ashna
KHwab ke jaisa badan rakhna bhi kya
ghar ki diwaren na den jis ka pata
aisi daulat aisa dhan rakhna bhi kya
bante bante bhi bigaD jati hai baat
itni lahje mein chubhan rakhna bhi kya
zindagi jine ki zid apni jagah
bandh kar sar se kafan rakhna bhi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.