yun talabgar ho gaya hai dil
yuuñ talabgār ho gayā hai dil
samjho bīmār ho gayā hai dil
aane jaane kā rāstā hī nahīñ
yā'nī dīvār ho gayā hai dil
pahle laatā thā kaam meñ is ko
ab to bekār ho gayā hai dil
choT khātā huuñ soz siine meñ
phuul se ḳhaar ho gayā hai dil
har tamanna se muttafiq ho kar
kitnā bezār ho gayā hai dil
yun talabgar ho gaya hai dil
samjho bimar ho gaya hai dil
aane jaane ka rasta hi nahin
ya'ni diwar ho gaya hai dil
pahle lata tha kaam mein is ko
ab to bekar ho gaya hai dil
choT khata hun soz sine mein
phul se KHar ho gaya hai dil
har tamanna se muttafiq ho kar
kitna bezar ho gaya hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.