yun tamashe ratjage ke ku-ba-ku hote rahe
yuuñ tamāshe ratjage ke kū-ba-kū hote rahe
sar pe sūraj aan pahuñchā aur ham sote rahe
shā.irī paiġhambarī kā ek hissa thī magar
log us ko sirf shohrat ke liye Dhote rahe
maut se āñkheñ milāne kī sazā mil kar rahī
zindagī bhar zindagī ke vāste rote rahe
raushnī kī kāsht thī matlūb ham se aur ham
tīrgī ke shahr meñ dānishvarī bote rahe
kaash 'ibrat koī pakḌe ai janāb-e-'ābdī'
vaqt jaisī chiiz ham paate rahe khote rahe
yun tamashe ratjage ke ku-ba-ku hote rahe
sar pe suraj aan pahuncha aur hum sote rahe
shairi paighambari ka ek hissa thi magar
log us ko sirf shohrat ke liye Dhote rahe
maut se aankhen milane ki saza mil kar rahi
zindagi bhar zindagi ke waste rote rahe
raushni ki kasht thi matlub hum se aur hum
tirgi ke shahr mein danishwari bote rahe
kash 'ibrat koi pakDe ai janab-e-'abdi'
waqt jaisi chiz hum pate rahe khote rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.