yun taraqqi ka hamein sapna dikhaya ja raha hai
yuuñ taraqqī kā hameñ sapnā dikhāyā jā rahā hai
gaañv chupke se amīroñ ko luTāyā jā rahā hai
aaj har āvāz ko aise dabāyā jā rahā hai
kah ke dahshat-gard haiñ ḳhatra batāyā jā rahā hai
ham bahut ḳhush haiñ hamāre gaañv tum rahne do aise
shahr in ko kyoñ zabardastī banāyā jā rahā hai
hindū muslim sikh isaa.ī barsoñ se haiñ saath rahte
bhaa.ī ko phir bhaa.ī se ab kyoñ laḌāyā jā rahā hai
kyoñ hamārī hastī ko hai bārhā lalkārā jaatā
kyā vajah hai kyoñ hamārā ḳhuuñ bahāyā jā rahā hai
zindagī hai pyārī sab ko shauq se hai kaun martā
koī to majbūrī hai jo zahr khāyā jā rahā hai
fikr un ko hai hamārī ye kahā jaatā hai qāsid
kyoñ binā pūchhe ye phir qānūn laayā jā rahā hai
yun taraqqi ka hamein sapna dikhaya ja raha hai
ganw chupke se amiron ko luTaya ja raha hai
aaj har aawaz ko aise dabaya ja raha hai
kah ke dahshat-gard hain KHatra bataya ja raha hai
hum bahut KHush hain hamare ganw tum rahne do aise
shahr in ko kyon zabardasti banaya ja raha hai
hindu muslim sikh isai barson se hain sath rahte
bhai ko phir bhai se ab kyon laDaya ja raha hai
kyon hamari hasti ko hai barha lalkara jata
kya wajah hai kyon hamara KHun bahaya ja raha hai
zindagi hai pyari sab ko shauq se hai kaun marta
koi to majburi hai jo zahr khaya ja raha hai
fikr un ko hai hamari ye kaha jata hai qasid
kyon bina puchhe ye phir qanun laya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.