yun tez aandhiyon ki na zad par raha karo
yuuñ tez āñdhiyoñ kī na zad par rahā karo
chalte musāfiroñ se na dil kī kahā karo
vo kam-sinī kī shāḳh pe khiltā gulāb hai
mauj-e-sabā kī tarah use tum chhuā karo
āvārgī kī dhuup meñ jalnā bajā sahī
koī to shaam apne bhī ghar par rahā karo
ehsās us faqīr kā furqat se chuur hai
aa.e agar vo dar pe to hañs kar milā karo
ḳhushbū to saare shahr meñ us ke badan kī hai
yuuñ hī na itr kaan meñ rakh kar phirā karo
jo is qadar ḳhulūs se miltā hai in dinoñ
ban jaa.e merī zindagī ye bhī duā karo
aayā hai ḳhaak chhān ke dasht-e-havas kī vo
behtar yahī hai us se na koī gila karo
yun tez aandhiyon ki na zad par raha karo
chalte musafiron se na dil ki kaha karo
wo kam-sini ki shaKH pe khilta gulab hai
mauj-e-saba ki tarah use tum chhua karo
aawargi ki dhup mein jalna baja sahi
koi to sham apne bhi ghar par raha karo
ehsas us faqir ka furqat se chur hai
aae agar wo dar pe to hans kar mila karo
KHushbu to sare shahr mein us ke badan ki hai
yun hi na itr kan mein rakh kar phira karo
jo is qadar KHulus se milta hai in dinon
ban jae meri zindagi ye bhi dua karo
aaya hai KHak chhan ke dasht-e-hawas ki wo
behtar yahi hai us se na koi gila karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.