yun teri aamad pe mera suna ghar raushan hua
yuuñ tirī aamad pe merā suunā ghar raushan huā
ġham-kade meñ jaise tū misl-e-qamar raushan huā
gardish-e-ġham meñ huā hamdam mirā zauq-e-safar
aur hasrat ke diye se rahguzar raushan huā
ishq kī chingārī to andar mire maujūd thī
yaad kī mahfil sajī jab vo sharar raushan huā
dostoñ kī dushmanī kā zahr hañs kar pī gayā
aisā ye tiryāk thā jis se jigar raushan huā
raushnī kī justujū meñ aql jab hairāñ huī
to basīrat kī kiran se dil kā dar raushan huā
yun teri aamad pe mera suna ghar raushan hua
gham-kade mein jaise tu misl-e-qamar raushan hua
gardish-e-gham mein hua hamdam mera zauq-e-safar
aur hasrat ke diye se rahguzar raushan hua
ishq ki chingari to andar mere maujud thi
yaad ki mahfil saji jab wo sharar raushan hua
doston ki dushmani ka zahr hans kar pi gaya
aisa ye tiryak tha jis se jigar raushan hua
raushni ki justuju mein aql jab hairan hui
to basirat ki kiran se dil ka dar raushan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.